Sunday, 21 August 2011

..:Bewafa Shayari:..



Ek Toote Huwe Dil Ki Aawaaj Mujhe Kahiye
Sur Jismein Hai Sab Ghum Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye
Main Kon Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye zindaa Hoon
Main Khud Bhi Nahi Samajhi Woh Raaz Mujhe Kahiye.

Khuda Ne Kaash Mohabbat Banaayi Na Hoti
Toh Aaj Iss Tarah Hamare Pyar Ki Rusvaayi Na Hoti
Kaash Unke Dil Mein Zara Si Wafa Hoti
Toh Iss Tarah Mere Saath Bewafaayi Na Hoti…
Haan Hum Bewfa Sahi, Par Itna Mujhe Batao.
Bewafa Jo Nahi Hai Aisa koi Saksh Dikhao.
Haan Main Janta Hoon Aapne kisi se Bahut wafa ki Hai
Par yun kya aapne Khud se koi Wafa ki Hai….


Mujko Rula Kar Dil Uska Bi Roya To Hoga,
Uski Ankho Par Bi Aansu Aaya To Hoga,
Agar Na Kiya Kuch Haasil Hamne Pyar me,
Kuch na Kuch Usne Bi Khoya To Hoga….
`

Log ishq karte hai bade shor ke saath,
Humne bhi kiya tha bade zor ke saath,
Magar ab karenge zara gaur ke saath,
Kyunki kal dekha tha use kisi aur ke saath!
`

Ab To Ye Chandni Bhi Hamein Jalati Hai
Bhari Mehfile Bhi Thanhayi Sathati Hai
Jab Se Tum Door Gaye Ho Humse
Humari Aankhein Har Pal Dab-Dabati Hai..
`

Tujhe kya pata kya guzaratee hai mujh per,
Tu to mujhe dariya mein chod ke kinare se dekhtee hain;
Sahil bhi tera gulam hai aur lehrein bhi,
Dono bhi muzje bachaney se pehle tujh-se poochtee hain..
`

Bewafa tum ho to wafadaar hum bhi nahi,
Besharam tum ho to sharmile hum bhi nahi.
Pyaar ke is mode par aake kehte ho ke shadishuda ho…
Tho kya hua Darling…Kunware hum bhi nahin!


Zindagi mai ek sapna dekha,
Jise ham haqiqat samajh baithe,
Maine jise pyar kiya wo majak samajh baithe…
`

Ye dekha hai humne khud ko aajmakar,
Dhoka dete hai log karib aa kar,
Kehti hai duniya par dil nahi manta,
Ke chod jaoge tum bhi ik din aapna banakar…………
`

Kaash khuda ne yeh dil kaanch ka banaya hota,
Dil Todne wale ke haathon mai kamm se kamm zakhm to aaya hota
`

Tum ho mere ye keh kar apne dil ko samjhaya maine
Socha ji lunga tumhari tasveer dekh kar
Par us tasveer me bhi tumhe apna nhi paaya humne.
`

“..Aisa nahi ki humko koi bhi khushi nahi..
Lekin ye Jindagi bhi koi Jindagi nahi…
Palko se khawab kyu gire..kyu choor ho gaye…
Kyu Jindagi ki rah mai hum dur ho gaye….”
`

Vo aati toa hai par tann se nahi
Baaten karti toa hai par mann se nahi
Kon kehta hai “sahil” vo pyar nahi karti
Vo pyar karti to hai par hum se nahi
`

Din me yaad usko ek baar nahi 100 baar karte thy.
ye jante hue ki uski yaad hi aayegi phir bhi intezar karte the.
par jab us bekadar garoori se hi chot khai hamne tab hosh aya ki.
hum to kisi pathar se pyar karte the…………….
`

Chand ne ki hogi suraj se mohhabat
isliye to chand main dag hai
mumkin hai chand se hui hogi bewafai
isliye to suraj main aag hai…

No comments:

Post a Comment