Sunday 21 August 2011

..:Romantic_Shayari :..

 
 
 
 
 
Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehboob uski sarhad

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski
Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par 
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

Pyar main jadoo bhi kya maza hai
Lagta hai ke ek khubsurat saza hai

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main 
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai
 
Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega

Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?

Waqt Ke Saath Badal Jaaye
Use Pyaar Nahi Kehte
Musibat Se Jo Darr Jaaye
Use Yaar Nahi Kehte
   
Chehre pe haseen chaa jati hai
Aankhon main suroor aaa jata hai
Jab tum mujhe apna kahte ho
Apne pe ghuroor aa jata hai


Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain
	
Aisa lagta hai zindagi....
tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon...
Aasmaanon-ki chandni tum ho
Ab koi aarzoo nahin baaki.........
justajoo meri aakhri tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!........
Kis zamaane ke aadmi tum ho?
 
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai 
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
   Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi 
   tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi 
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
   Dekh kar log mujhe naam tera lete hain 
   is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir" 
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai 
deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
   Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
   apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
   Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo 
   kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi 
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai 

Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho, 
   Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa, 
   pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho, 
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho, 
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho, 
   In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum, 
   mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho, 
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, 
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho 
   
Khoob aati hai jab bhi aati hai,
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
Teri soorat ubhar ke aati hai

Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to
   
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...
Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain
   Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...
   Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...
Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain
    Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay...
    Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...
Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain
    Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain
    Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain

Ishq ke lamhe sharaab lagte hain
Kuch chehre mehtaab lagte hain 
Dukh itne sahe mohabbat main guzre hue
Ke har lamhe hi azaab lagte hain
  
Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
   Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
   kahaan din guzaaraa kahaan raat di, 
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki, 
   Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin, 
   musaafir ne jaane kahaan raat ki..
 
Bikhari hui zulfon ko girahgeer bana lo
   Rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo
   Kagaz pay lakeerain to bohot kheech li tumne
   Ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo
   
   
   Saamnay baithi raho dil ko qaraar aayega
   Jitna dekhengay tumhain, utna hi pyar aayega
   
   
   Hosh waalon ko khabar kya bekhudii kya cheez hai
   Ishq kijiye phir samajhiye, zindagi hai cheez kya
      
    Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,
    Khuda kare aisi shaam na aaye....
    Aye jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,
    Afsaana likhoon aur tera naam na aaye
    
    
    Baat chali teri aankhon say
    Ja pahunchi paimanay tak
    Kheech rahi hai teri ulfat
    Aaj mujhe maikhaanay tak
    
    
    Tumhain Dil Main Basaye Rakhta Hoon,
    Aur Duniya Ko Bhulaye Rakhta Hoon
    Tumhe Meri Nazar Na Lag Jaye
    Apni Nazar Jhukaye Rakhta Hoon
    
    
    Mohabbat Karne Wale Is Duniya Mein Kam Na Honge
    Meri Jaaan Teri Mehfil Mein Bas Hum Na Honge
    
    
    Dil cheez hai aisi, hai dene ki day denge
    Koi qubul karnay wala to milay 
    Hum jaan bhi day denge
    
    
    Tere naam hum nay kia hai
    Zindagi apna tere naam
    Pyar bohot kartay hain tum se
    Ishq tu hai hamara sanam
    
    
    Ab Tum Batao Kyon Mujhse Door Ho
    Milna Manzoor Nahi Ya Meri Tarah Majboor Ho
    
    
    Zindagi khushi ka hai naam, isay ronay main zaya na kijiye
    Husiye khud bhi aur sung apnay, dusro ko bhi hasaya kijiye 
    
    
    Tum jaan toontnay ka bahana na karo
    Hum teri aankhon say pee lenge
    Tum na aao, bus aanay ka wada karo
    Hum intezaar main jee lenge
    
    
    Dil ki halat dil say poocho
    Dillagi main dil gaya
    Dil kay badlay dil kay haatho
    Dard-e-dil main mil gaya
    
    
    Zinda hoon is liye
    kyon ki mujh ko tumse pyar hai
    Tum bhi mujhse pyar karti ho
    Sunnay ko dil beqaraar hai
    
    
    Pyar ka izhaar kar do
    Ab hum say nahi raha jaata
    Likh ker hi iqraar ker lo
    Agar hothon pay nahi aata
    
    
    Kab say hai hum ko yeh intezaar
    Kar do na tum bhi iqraar
    Bus keh do ki hai tum ko bhi
    Hai tum ko bhi utna hi pyar
    
    
    Pyar kehte hain, mohabbat kehte hain
    Kuch log isay bandagi kehte hain
    Magar jin pay hain hum martay
    Hum unhain zindagi kehte hain
    
    
    Tera diwana hoon, inkaar nahi
    Kaise keh doon kay tujhse pyar nahi
    Kuch shararat teri aankho ki bhi hai
    Main tanhaa to gunehgaar nahi
    
    
    Jahaaan dekho wahaan ishq kay bimaar baithe hain
    Laakho mar chukay, saikro taiyyar baihte hain
    
    
    Jo sachcha pyar karta hai
    woh kahan faryaad karta hai
    Labon ko hilnay nahi deta
    Dil o dil yaad karta hain
    
    
    Musqurate Hai To Bijliya Gira Dete Hein
    Baat Karte Hein To Deewana Bana Dete Hein
    Husan walo Ki Nazar Kam Nahi Kyamat Se
    Aag Pani Me Vo Nazaro Se Laga Dete Hein
    
    
    Khuda Janay Mohabbat Ka Kya Dastoor Hota Hai
    Hum jis say ishq kartey hain, wohi humse door hai
    
    
    Soya nahi kaye raaton se
    Is dil main tum hi samaye ho
    Her aahat per aisa lagta hai
    Kay shayad tum aaye ho

    Kab Se Tere Intezaar Main
    Dil Lagaye Tere Deedaar Baithe Hai
    Teri Ek Nazar Hum Par Paray
    Tamanna Lagaye Hum Bhi Baithe Hain 

No comments:

Post a Comment