Sunday 21 August 2011

..:Funny Shayari:..


Computerized Love 


Abhi abhi to pyaar ka PC kiya hai chaaloo
apne dil ki Hard disk pe aur kitni files daaloo

apne chehre se ruswaai ka Error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka Password to bataao

Woh to hum hai jo aap ki chaahat dil main rakhte hai
Warna aap jaise Software to bazaar main bikte hai

Roz raat aap mere sapno main aate ho
mere pyar ke Mouse ko ungliyon pe nachaate ho

Tere pyar ka email mere dil ko lubhata hai
Par beech main tere baap ka Virus aa jataa hai

Aur karaaogi hamse kitna intezaar
Hamare dil ke Site pe kabhi Enter to maro yaar

Apne insult ka badla dekho kaise loonga
Jaaneman tere baap ko Shift Delete kar doonga

Apke nakhre apne dil pe Bang ho gaye
Do PC judte judte Hang ho gaye.

Aap jaiso ke liye dil ko Cut diya karte hai
Warna baaki cases main to Copy Paste kiya karte hai

Aapka hasnaa aap ka chalna aap ki woh style
Aapki adaaon ki hamne Save kar li File
 ---

 Har desh ki ek sarhad hoti hain,
Har bachche ki bhi ek zid hoti hain...
Aur kitna intzaar karwaoge,
kanjoosi ki bhi ek had hoti hain....


Krishna kare to raslila,
Hum kare to character dheela,
Krishna mein dikhte vishnu aur brahma,
Hum mein jag ka sabse nikamma; 
Krishna gopiyon ke vastra churate,
Hum to kewal door se takte,
fir bhi Krishna ke bhajan tum gate,
aur humko tane aate-jate;
Krishna ki hajaro gopiya,
hum to chahe ek hi sita,
fir bhi Krishna ki padhte tum gita,
aur humko kahte to naspita;
Krishna ne Radha se ki bewfai,
fir bhi kaha na unko harzai,
humne kabhi na chhoda tumhara dupatta,
fir bhi kahti ho ullu ka paththa.


Dil ke arman ansuo me beh gaye,
Hum gali me the gali me reh gaye...
Light chali gayi,
Jo baat unse kehni thi wo unki mummy se keh gaye....

 
Mera dil kahta tha telephone karoon,
Mera dil kahta tha telephone karoon,
Magar kambakhto ne conection hi kat diya...
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
[Audience: Are bhai, aage bhi to bolo.]
Hawa hi hawa hai.


Tum har raat mere khwabon mein aao,
Tum har raat mujhe yuunhi satao,
Melody khao khud jaan jao........


Khud ko kar buland itnaa
Ki Himaalay ki choti pe jaa pahunche
aur khuda tumse puche
Abe sale gadhe. ab utrega kaise???


Aaj! aasmaan mein taare aise chamak rahe hain
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain....
JAISE KAL CHAMAK RAHE THE !!!
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
yahan likhana mana hai.

Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita
Tan ki shakti, manki shakti, Bournvita

Math pee ghalib sharab masjid mein baith kar
Math pee ghalib sharab masjid mein baith kar
Ek hi bothal hai kahi khuda na maang le...



Door se dekha to ande ubal rahe they,
Paas jakar dekha to Ganjey uchhal rahe they

Neil Armstrong Chand par Gaya aur Farmaya
Ye saala idhar hawa kyon nahi ayaa!...

Teri jheel si aankho mai doob jaane ko dil chahta hai,
Magar kya karu, tera chashma beech mai aata hai!

Mein ne tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe peeta
Mein ne tumse pyar kiya, tere baap ne mujhe peeta,
(kya baat hai..)
Sin theta by Cos theta equal to Tan theta...
(Wah Wah...........???????????????)



Duniya Se Jo Darre, Usse Kaayar Kehta Hain,
Duniya Jisse Darre, Usse Shaayar Kehte Hain,
Biwi Se Jo Darre, Usse Shohar Kehte Hain.

Chhup gaye saare najaare, oye kya baat ho gayi,
Dosto, abhi pata kar ke aata hoo kya baat ho gayi!

Maine tujhe dekha
Dekhta raha, Dekhta hi gaya
Phir mujhe chashma lag gaya





Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ..
Ke kyon mere dil mein khayal aata hai ye Kabhi Kabhi ??

Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu
Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu
Magar teri bahti hui naak ne iraada badal diya....

Wo Gulab hi kya hai jisme laali na ho
Wo Gulshan hi kya hai jisme maali na ho
Wo SASURAL hi kya kai jisme SAALI na ho
Arre yaaro wo program hi kya hai jisme Taali na ho

Khuda kare hasino ke bap mar jayen
Bahana ho maut ka aur ham unke ghar jayen.

Main hu yahan, tu hai wahan
Main hu yahan, tu hai wahan
Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan
          





No comments:

Post a Comment